The fake reality

The Fake Reality

Itni real si hai ye duniya par ek tarah se kitni fake hai,
Matlab na ho kisi se, par dusre ki success pe, lagaani sabko break hai,
Apni problem solve ho na ho, lekin dusro ke masle me sabka koi na koi take hai


Ghar se door jaane ki kya hai zarurat, kareebi rishto me hi duniya ki hai ek jhalak,
Khoon ke rishte hon ya fir, padosi ya door ke rishtedaar,
karta koi na koi kisi na kisi se hate hai

Mann me kar rahe hote hain criticize aur judgement karte hain pass,
Lekin shabdon se hoti hai sirf meethi baarish, kyuki yeh to hai apne andar ki baat
Us lambi chaudi 32 teeth smile ke piche mostly chuppa hota hai koi raaz,
Kisi ko hai tumse sirf kaam ka matlab ya fir bas hain curious to know the inside of your aaj
Kai to sirf majboor hai, in the name of ‘socitey me hai rehna’,
Deep down inside, har kisi ne hai koi na koi mask pehna


Hai to sabka ek hi goal, sabko kamyabi hi to chaiye,
Kya fayda dhokha dene me?
Hai sabke apne raaste aur apni apni fate hai
Dil me acchai hone se bada na is duniya me zyada kuch great hai




If you like what you read, leave your comments below. Let’s connect.
You may also like: The Sun of life

Posts created 29

2 thoughts on “The Fake Reality

Leave a Reply

Related Posts

Begin typing your search term above and press enter to search. Press ESC to cancel.

Back To Top